Meri
dastan-e-hasrat, wo suna suna ke roye,
mere aazmane wale, muze aazma ke roye ...

Jo
sunayi anjuman me, gam ki aap beeti,
kuchh ro ke muskuraye, kuchh muskura ke roye ...

Main
hoon be-watan musafir, mera nam be-kasi hai,
mera koi bhi nahi hai, jo muze gale laga ke roye ...

mere
pas se guzar kar, mera haal tak na puchha,
main ye kaise man jaun, ke wo door ja ke roye...

0 comments:
Post a Comment