.

Bas ek chhoti si haan kar do, Hamare nam is tarha sarajahan kar do!



Bas ek chhoti si haan kar do
Hamare nam is tarha sarajahan kar do!

Wo mohabatain jo tumhare dil men hai
Unko zuban par lao aur bayan kar do!

Aaj bas aap kaho aur kehte hi jao
Hum bas sune aisa be-zuban kar do!

Hui purani dastan heer ranjha ki
Tarikh mohabbat ki phir se jawan kar do!

Aa-jao ke aisa toot kar chahu tumhe
Hamari mohabat ko mohabbat ka nishan kar do!

Apne dil me is tarha chupa lo muzko
Rahu humesha is me aisa mera makan kar do…!!!

Share on Google Plus

About Unknown

Join us for latest shayari and entertainment
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment